Khushi main tumhey mehsoos karta hoon
shaayd tum mujhme hi thi
haan tum mujhme hi thi
Maine tumhein kahan kahan na talasha
zindagi mein dhoonda, tumhey maut mein dhoonda
paani mein to kya, tumhey pyaas mein tatola
sirf hotey mein hee nahin, tumey nahotey mein dhoonda
par tum kahin na thi
Sawaal ban gaya tha tumhra astitva
shayad tum sirf ek sundar sapna thi
tumhari tasweer dhundlaaney lagi thi
meri aasha ka diya bujh hi to chuka tha
par tum kahin na thi
Par yeh aaamaan mein bijli kaundhi thi
ya door kahin ek tara timtimaya tha
woh pyaasi ret par baarish ki pehli
boond thi ya basanti hawa ne mann ko gudgudaya tha
Woh tum hi to thi
woh tum hi ho sakti thi
sundar chharhari chanchal
haan woh tum hi thi
Jaan padta tha, pehley bhi kahin tumhey dekha hai
shayad kai baar, par phir bhi tum kitni anjaan thi
kaash tumhey pehley pehchaan pata
to kanteeley jungle mein ugi us nanhi raat ki raani ko bachaa pata
par ab main tumhey mahsoos karta hoon
tum mujhme hi thi
haan tum mujhme hi ho, hamesha se, hamesha ke liye.......
Tuesday, 4 March 2008
Khushi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
hey are these your original writings?
do u compose too?as u play guitar
Some of them are my original creations and some of them are others, approriate references to which have been provided.
Unfortunately, I don't or shall I say can't compose. Neither can I play guitar. I tried my hand at it, picked up a bit but then stopped after a while :(
If you want me to write a song for you, I can give it a try.
Post a Comment