This one is not written by me but I wish I would have penned it. Simply brilliant.....
Har khushi hai logon ke daman mein
par ek hansi ke liye waqt nahin
din raat daudti duniya mein
zindagi ke liye hi waqt nahin
maa ki lori ka ehsaas to hai
par maa ko maa kehne ka waqt nahin
sare rishton ko to hum maar chuke
ap unhe dafnane ka bhi waqt nahin
aankhon mein hain neend badee
par sone ka waqt nahin
dil hai gamon se bhara hua
par rone ka bhi waqt nahin
paison ki daud mein aise daude
ki thakne ka bhi waqt nahin
paraye ehsaas ki kya kadar karein
jab apne sapnon ke liye hi waqt nahin
tu hi bata ae zindagi
iss zindagi ka kya hoga
ki har pal marne walon ko
zeene ke liye bhi waqt nahin
Wednesday, 6 May 2009
Tuesday, 5 May 2009
Naraz
(Note: Put your speakers on)
Naraz tum naraz hum,
Kaisay mitay phir duriyan,
Hum muntazar tum bekhabar,
Dono ki hain majbooriyan,
Naraz tum naraz hum,
Kaisay mitay phir duuriyan,
Hum muntazar tum bekhabar,
Dono ki hain majbooriyan
Ho jaye apna agar kabhi samnaa,
Tum meray chehray ko zara gaur se dekhna,
Haan gaur se dekhna,
Aur phir sochna,
Phir sochna
Kya baat thi jis ki saza hum ko wahan tak le gai,
Chehro se rung, aankhon se khwaab,
Sab kuch ura kar lay gayee,
Kuch khonay ka gar tumhe ehsaas ho,
Beetay dino ke lautnay ki tum ko bhee aas ho,
Haan tum ko bhee aas ho,
Tou chalay aana,
Chalay aaana,
Mat sochna, mat poochna,
Uthtay qadam mat rokna,
Nata humara dil ka tha,
Kehna bhi dil ka maanna,
Naraz tum naraz hum,
Kaisay mitay phir duriyan,
Hum muntazar tum bekhabar,
Dono ki hain majbooriyan
Subscribe to:
Posts (Atom)